Room Cooling System By Using Fan AirPump Watercooler

Room Cooling System air Cooler



Material: 9.5mm pipe, 2mm Pipe, WaterCooler, AirPump, Ceiling Fan,

Step 1:  sabse pehle 9.5mm ka copper pipe ko 9 round circle me jalebi ke jaise bna kar ceiling fan ke upper Lga dena ha. uske ek tarf se pipe ka muh band kr dena ha.. dusri side se pipe ke water cooler me connect krna ha.. 9 roround wale pipe me bahut sare shed krne ha ta jo waha se cool air bahar aa sake aur fan ke upper hwa parti rahe jisse fan cool air dega..

Step 2:  Ab ek water cooler lena ha usme 2mm pipe ke 5 alag alag spring type shape bna kar 5 muh 9 round wale pipe muh se jod dene ha.. 5 spring wale pipes ko water cooler me cool ice wala water dal ke spring wale pipe duba dene ha.. jisse pipes me se air cool hokar 9 round wale pipe me jayegi..

Step3: Ab air Air pump lena ha usse ek 9.5 mm ka pipe ko jod kar water cooler me dal ke 5 spring wale pipes ke niche wale muh se jod dene ha..  air pump se air ka pressure se air water cooler me 5 spring wale pipe se cool air hokar fan ke upper bhjega..

Step 4:  Ab Air pump ko electercity se chalu krna ha aur Room fan ko bhi chalu kr dena ha... water cooler ko dhakan lga cover kr dena ha taki dhup se pani garm na ho..  ab apne room me kuch hi second me cool air ane lgega .. apko AC jaisi thandi hwa ka anand milega...  watercooler me aap ice ke sath sath perfume bhi dal sakte ha isse apka room khushbu se mehkne lagega..

Instruction:  aap 2mm wale pipes 5 se jayada spring bhi bna sakte ha.  isse aur jydaa  air ka pressure aeyga.. aur hwa aur bhi jayda jaldi thandi dega..


Comments